WhichMobile · News · Compare phones · About · Editorial policy · Contact

iPhone 15 Pro Max: USB-C Aaya, Charger Ab Bhi Nahi

Published 8 Nov 2023

Apple ne is dafa sab ko chaunka diya — iPhone 15 Pro Max mein aakhirkar USB-C aa gaya hai. Lekin box khol kar dekhein to charger phir bhi wahi purana dost — nadaarad.

Titanium Frame Ka Jadoo

Pehli baar haath mein pakdo to lagta hai phone halka ho gaya hai, lekin girega to utna hi tootega jitna pehle tootta tha. Titanium sirf haath mein achha lagta hai, gir kar utna hi rota hai jitna stainless steel.

Camera Ya Chota Telescope?

5x periscope zoom itna strong hai ke pados wali building ke pardon tak dekh sakte hain — halanke hum aisa karne ki salah nahi denge. Din ki roshni mein photos kamaal hain, raat mein bhi Apple ne finally serious mehnat ki hai.


Verdict: agar aap already iPhone ecosystem mein hain aur upgrade ka mann bana chuke hain, ye phone nirash nahi karega. Agar naye hain, pehle iPhone 15 Pro Max ka poora price aur specs dekh lein — dil todne se pehle wallet ko taiyar kar lein.

© 2026 WhichMobile.pk